Mere miyyan bairon mulk job k silsly main mere saath rehty hain unho ny wapis apny mulk aa kr apny ghr walon sy mere baary shikayat ki k ye ghr k kaam kaaj main susti krti hai aur aap logon ki shikayat mujh sy krti hai Jo k unk ghr Walon ki taraf sy mere saath zyadti Ka muamla hua hota unk iss shikway pr unk ghr Walon ny faisla Kiya k ye ab shohr k saath nahi rahy gi jb k main kaii baar apny shohr sy aur unki walda sy muafi maang chuki k ainda mujh sy koi shikayat na ho gi aisa matt krain mgr shohr aur unk ghr waly aisa krny pr bazidd hain main ye jaanna chahti hn jb biwi apny rawaiyye ki muafi maang chuki aur ainda aisa na krny Ka wada kr chuki tou kya shariyat shohr ko ya uski walda ko ye ikhtiyar daiti hai k biwi ki ijazat k baghair shohr us sy saari Zindagi k liye doori ikhtiyar kr ly aur ussy uss k maa baap k ghr hamaisha hamaisha k liye chorh kr chala jye kya iss tarz e Amal pr shohr aur ussk maa baap Allah k Haan jawab dy nahi hn gy
aur agr shohr k ghr waly biwi k saath waqayatan zyadti Ka muamla rkhty hn aur biwi agr shohr sy shikayat kry tou shohr hamaisha ghr walon Ka saath dy kyun k Islam main maa Ka haq zyada hai tou kya biwi pr maa sy zyadti krwany aur zyadti main maa Ka saath dainy pr shohr sy aakhirat main koi hisab kitab nahi ho ga kya Islam ye ijazat daita hai k agr maa baap zyadti bhi krain tou zulm aur zyadti main bhi unka saath do aur jis k saath zyadti ho rahi huo agr Allah ny uss shaks ko tumhara mateht banaya hai tou ussy apny uppr honton ko see kr zyadti sehny pr majboor kro
Rahnumai farm4ayn
Fatawa ID: 1452